Haste rahen aap hazaron ke beech mein,
Jaise haste hein phool baharon ke beech mein,
Roshan ho aap duniya mein iss tarah,
Jaise hota hai chand sitaron ke beech mein.
************************************
Na to yaado ko yaad rakhte hai
Na hi sapno ko saath rakhte hai
Hum to buss unko yaad rakte hai
Jo hamein dil ke pass rakhte hai.
************************************
Ishq Ne Insan Ko Kya Se Kya Bana Diya ,
Kisiko Kavi To Kisiko Kangal Bana Diya,
Do Fulo Ka Boj Na Uthane Vaali Mumtaj
Ki Yaad Main Shahjaha Ne Taaj Mahel Bana Diya.
************************************
Ye aaine se akele main guftagu kya hai
jo main nahin to phir ye tere rubaru kya hai
isi umeed pe kaati hai zindagi main ne
woh kaash puchte mujh se ke aarzoo kya hai
************************************
At a dance party,
Boy: will u dance with me?
Girl: main bache k saath nahi nachti.
Boy: so sorry! Mujhe pata nahi tha k aap pregnant hain.
************************************
Ya khuda maaf karna tere is gunehgaar bande ko,
Jo tumhari chamatkaar me dakhil hota hai,
Sirf ye poochne ke liye aaya hu mein,
Ke kyun har raat tanhai mein mera dil rota hai...
**************************
Bade ajeeb hain ye zindagi ke raaste,
Anjane mod par kuchh log dost ban jate hain,
Milne ki khushi de ya na de
Bichhadne ka gam zarur de jate hain.
**************************
Kaash kaanch banane wale ne dil kaanch ka banaya hota,
Kaash kaanch banane wale ne dil kaanch ka banaya hota,
Todne wale ke haath par zakhm to aaya hota.
**************************
Kitna bebas hai insaan apni kismat ke aage,
Kitna benoor hai sapna haqueequat ke aage,
Koi ruki hui dhadkan se pooche ,
Kitna tadapta hai dil mohhabbat ke aage.
**************************
Sabko dost banane ki aadat hai hame,
Apni alag pahchaan banaane ki aadat hai hame,
Kitna bhi gahra jakhm de koi,
Utna hi jyada muskurane ki aadat hai hame.
*****************************
Dil cheer ke dekh lo mera,
Tasweer usi ki hogi,
Kabhi hile agar is dil ka darwaja,
To aahat usi ki hogi.
*****************************
Pal bhar me toot jaaye wo kasam nahi,
Aapko bhool jaaye wo ham nahi,
Tum hame bhool jao is baat me dam nahi,
Kyonki tum hame bhool jaao itane bure ham nahi...
*****************************
Pal aisa tha ki ham inkaar na kar paaye,
Jamaane ke dar se ikraar na kar paaye...
Na thi jinke bina jindagi munaasib,
Chod diya unhone aur ham sawaal na kar paaye...
*****************************
Ham agar aapse mil nahi paate...
Aisa nahi ki aap hame yaad nahi aate...
Mana duniya ke sab rishte nibhaye nahi jaate...
Magar jo bas jaate hai dil me bhoolaye nahi jaate.
*****************************
Anjaane me dil gawa baithe,
Is pyaar me kaise dhokha kha baithe,
Unse kya gila kare bhool hamaari thi,
Jo bina dil waalo se dil laga baithe.
*****************************
Bheegi palkon ke sang muskurate the ham,
Pal-pal dil ko bahlaate the ham...
Wo door the hamse to kya hua,
Unhe yaad rakhne ke liye hi to bhoolate the ham.
*****************************
Jikr unka hi aata hai mere fasaane me,
Jinko jaan se jyada chaha hamne jamane me...
Tanhaai me unki hi yaad ka sahara mila,
Nakaamyaab rahe jinhe ham bhoolane me...
*****************************
Dil me tumhaare apni kami chod jaayenge,
Aankhon me intjaar ki lakeer chod jaayenge,
Yaad rakhna dhoondhte rahoge hame,
Dosti ki aisi kahaani chod jaayenge.
*****************************
Paane me khone ka maja aur hai,
Band aankhon se dekhne ka maja aur hai,
Aansu bane lafj aur lafj gajal,
Teri yaado ke saath "jeene kaa majaa! kuch" aur hai!
*****************************
Tadapta hai dil mera jis kadar,
Kya tera dil bhi rota hai,
Oh jaane waali ye to bata,
Kya tujhe bhi kuch-kuch hota hai.
*****************************
Kaise kahe ki aap kitne khoobsurat hai,
Kaise kahe ki ham aap pe marte hai,
Yah to sirf mera dil hi jaanta hai,
Ki ham aap pe hamaari jawaani kurbaan karte hai.
*****************************
Dil ke rishte ajeeb hote hai,
Koi dil ke kareeb hote hai,
Meri tanhaai ka jikar na kiya kar,
Apne-apne naseeb hote hai.
*****************************
Aasmaan se gira ek chaand ka tukda,
Usse bhi sundar hai aapka mukhda.
*****************************
Teri judaai se hai duniya ka har gam,
Yaade teri hai mere dil ka marham,
Khyaalon me ho tum mere hardam,
Bas jaao aa ke dil me ae hamdam.
*****************************
Wo jab door tha to bhi kitne paas tha,
Kaisa mitha sa wo bhi ek ehsaas tha,
Aaj wo paas ho ke bhi kitna door hai,
Yaar ab kismat ko shayad yahi manjoor hai.
*****************************
Dil me yaadon ki tarah,
Aankhon me aansu ki tarah,
Jaanu, tu mere paas ho,
Phoolon me khushboo ki tarah.
*****************************
Nasha ajeeb sa hua hai aaj phir,
Wo meri rooh me utri hai aaj phir,
Door bahut mujh se rahti hai wo magar,
Mere kareeb se wo gujri hai aaj phir...
*****************************
Tumhe khud nahi maaloom ki tum kya ho,
Jaise baadlon ke peeche chaand chipa ho,
Inhi adao pe hai ham fida tere
Yahi vajah hai ki tum aur se yun juda ho.
*****************************
Phool phool se juda hai magar khushboo se nahi,
Tum mujhse juda ho magar mere ‘dil’ se nahi.
*****************************